Allama Iqbal Poetry

Thokar Lagi To, Apne Muqaddar Pe Ja Gira!...

Thokar Lagi To, Apne Muqaddar Pe Ja Gira!


Phir Yu Huwa K, Aaina Pathar Pe Ja Gira!


Ehsaas_e_Farz Jab Bhi Huwa, Neend Aa Gayi,

Chalna Tha Pul-Saraat Pe, Bister Pe Ja Gira!

Baazi Mohabbaton Ki Jahaalat Ne Jeet Li,

Wo Ban Gaya Khateeb, Jo Mimber Pe Ja Gira!

Khusbu Qasoor-Waar, Nahi, Is Ko Chor Do,

Me Phool Torte Huwe, Kanton Pe Ja Gira!

Sahraaon Me Liye Phira IQBAL Paani Ki Justaju,

Jab Piyas Mar Gayi To, Samundar Pe Ja gira.


Hum kon hain kia hain Baa Khuda yaad Nhi...

IQBAL
-------
Hum kon hain kia hain Baa Khuda yaad Nhi,

Apnay Aslaaf ki koi Bhi adda yaad Nhi.,.

Hain agar yaad to kafir k taranay he bass,

Hai Nhi yaad to Masjid ki sada yaad Nhi.,.

Bint-e-Hawwa ko Nachatay hain sar-e-mehfil ham,

kitnay sung dil hain k rasm-e-Haya yaad Nhi.,.

-,-Aaj apni zillat ka sabab ye he hai shayad,

Sub kuch hai yaad magar, sirf KHUDA yaad nhi.,.


Jism ki pooja ko...

"""Jism ki pooja ko mohabbat kehta hai aaj ka falsafi""

''""Yehi dour-e-hazir ki muhabat hai to main jaahil acha"



Kiya Hua Jo Tere Maathe Pe Hain

Kiya Hua Jo Tere Maathe Pe Hain Sajdon K Nishan

Koi Aisa Sajda B Kar Jo Zameen Pe Nishan Chor Jaye.....
ALLAMA IQBAL.


Kya hua jo tere maathy pe hain

(AIlama Iqbal)
Kya hua jo tere maathy pe hain sajdon k nishan,

Koi aisa sajda bhi kr jo zameen pe nishan chor jae.


Iqbal tairi qaum ka Iqbal kho gya

Iqbal tairi qaum ka Iqbal kho gya

Mazi to sunehra hy magar haal kho gya

Woh Rob-o-dabdaba woh jalaal kho gya

Woh Husn Be-misaal woh jamal kho gya

Doobay hyn jawabon main par sawal kho gya

Iqbal tairi qaum ka Iqbal kho gya

Urtay jo fizaon main thay shaheen na rahay

Ba zoq na rahy Zaheen na rahay

Pakeeza ghar na rahay
Ba-deen na rahay

Woh Laal-o-gulzar woh mahjabeen na rhay

Momin ka woh andaz-e-bakamal kho gya

haaye!

Iqbal teri qaum ka Iqbal kho gya!

Roz-e-Hashar me be-khof ghuss jaon ga JANNAT me...

SHIKWA:

Roz-e-Hashar me be-khof ghuss jaon ga JANNAT me,
Wahin sy aaey thy “AADAM” wo mery baap ka ghar hy

JAWAB-E-SHIKWA:

In amaal k sath tu jannat ka talabgar hai kya?
Wahan se nikalay gaye they ADAM to teri okat hai kya.?

(Allama Iqbal)
Allama Iqbal Poetry Allama Iqbal Poetry Reviewed by Unknown on 01:02 Rating: 5

No comments:

Salam Pakistan @2015. Powered by Blogger.