Romantic Urdu Poetry 01

poetry~~ Tum Kia Jaano ~~
Tum Kiya Jaano Main Khuda Se Kiya Maangti Hoon ?
Tumhari Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangti Hoon
~~~~~~

Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Tumse Khata
To Do Mujhe Uski Saza Ye Maangti Hoon
~~~~~~
Agar Lag Jaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaow Tum Pareshaan
To Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangti hoon
~~~~~~
AY KHUDA Meray Doston Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangti Hoon
~~~~~~
Tum Ho Hamesha Kamyab Tumhari Her Khwahish Ho Poori
Buss Ye Chaahti Hoon Aur Tumhari Khushi Maangti Hoon

Upoetryske Haatho’n Pe Heena Paaoo’n Me’n Payal Hogi
Ek Deewar Magar Beech Me’n Hayal Hogi
Uske Jalwo’n Ke BohAt Paas Ma’n Hunga Lekin
Wo Kisi Aur Ki TaQdeer Ka Haasil Hogi
Surkh Kapdo’n Pe Saje Taar Na Honge Mere
Uski Aankho’n Me’n Mere Pyaar Ki Jhilmil Hogi
Jaate Jaate Wo Mujhay Pyaar Se Dekhegi Jab
Rote Rote Wo Meri Rooh Me’n Shaamil Hogi
Mujhse Wo Door Bahut Door Chali Jayegi
Ye Kahani Bhi Sar-E-Bazm Mukammal Hogi

poetryMil Kar Bhi Ussay Hasrat-E-Mulaqat Reh Gai ….
Baadal To Ghar Aaey thay Barsaat Reh Gai ….
Wo Aaj Yun Mila K Hamain Janta Na Ho ….
Lab To Meray Khulay Thay Magar Baat Reh Gai ….
Mai Haar K Bhi Khush Hoon k Tum Jeet To Gaey ….
Qismat Main Meri Maat Thi So Maat Reh Gai ….
Daaman Main Kya Rakha Hai Is K Siwa Bas ….
Bakhshay Jo Tu Nay Zakhm Wo Soughaat Reh Gai ….
Kya Kya Badal Rahay Hain Yahan Mousam Khabar Nahi ….
DiL K Nagar Main Raat Thi So Raat reh Gai

poetryMuhabbat hai Agar Tumko Toh Kyun Inkar Kartay Ho,
Humein Keh Kyun Nahi Detay K Humse Pyaar Kartay Ho,
Humse Guftugu KA Koi Bahana Milay Tumko,
Tabhi Toh Bewaja Humse Yunhi Takraar Kartay Ho,
Kehtay Ho Tum Aksar Pyaar KaRNa Ik Himaqat Hai,
Agar Yeh Ik Himaqat Hai Toh Kyun Ikraar Kartay Ho,
Humse Baat KaRNa Jab Bura Lagta Hai Tumko,
Bura Jo Kaam Lagta hai Woh Kyun Bar Bar Kartay Ho,
Sabhi Shikway Humari Door Hojatay Hain Us Lamhay,
JAb Ansu Bhar K Kehtay Ho Hum Hi Se Pyaar Kartay HO….!!!

poetryGuzar Rahe Hain Jo Mujh Pe Azab Us K Hain
K Meri Chashm-E-Tamanna Mein Khawab Us K Hain
Kitab Meri, Qalam Mera, Soch Bhi Meri
Magar Jo Likhay Hain Mein Ne Wo Baab Us K Hain
Wo Meri Zaat Ka Ik Mustand Hawala Hai
Kitab-E-Ishq Mein Sare Nisaab Us K Hain

poetryTeray Ishq k inteha Chahta hon
Meri Saadgi dekh kiya chahta hon
Yeh Jannat mubarik rahay Zahidon ko
k Aapka saamna chahta hon
koi dum ka mehmaan hon, aey ehal e mehfil
chiraagh e sehar hon bujha chahta hon
Sitam ho k ho Wada e be-hijaabi
koe baat sabar aazma chahta hon
bari bazam mayn raaz ki baat keh di
bara be adab hon saza chahta hon

poetryApne hontoon se pilao to piye jaon ga
Jam ankoon k b chalkao to piye jaon ga
Hum jahan do na raheen aik hi bas ho jayeen
Esa tum jashan manao to piye jaon ga
Yun to labreez hai pemana mera
Zara chalman ko hatao to piye jaon
Tere hoty howe yeh jashan chiragah kesa
Yeh sabhi deep bhujao to piye jaon ga
Yun to madhosh sa rehta hon bin piye
Tum mer hosh urao to piye jaon ga

poetryFarz Kro Tum Chatt Pey Baithi Dhoop May BaaL Sukhati Ho
Farz Kro DhOop Ka Is Din Kuch Kuch Rung Gulaabi Ho
Farz Kro Neend May Tum Nay Daikha Aisa Sapnaa Ho
BeKul Ho Kay Mann Ye Chahey Kaash Ye Sapna Apna Ho
Farz Kro Kamray May Baithi Tum Afsana Likhti Ho
Afsanay Kay Hero Ko Shayer Dewana Likhti Ho
Farz Kro Tum Khat Likhny Ki Khwahish Mann May Pati Ho
Likhnay Say Pahlay Tum Khat Per KhushBoO KhOob Lagati Ho
Farz Kro Ik Naam Likho, Likh Ker KaToo, Aur Phir LikhO
Farz Kro Wo Naam Tumharay Apny Is Shayer Ka Ho
Farz Kro Ye Sari Baatain Farz Na KERNI Parrti Hon
Farz Kro Mann Kay Angan May Aashaain Hi Basti Hon
Farz Kro Hum Dono Ka Dil Bus Ik Sath Dharakta Ho
Farz Kro Per Kyon Tum Aakhir Farz Kro !!!!!

poetryTum mare soch ho,
Koi aur tumhain sochy tu kyun?
Tum mare chahat ho,
Kohi aur tumhain chahey tu kyun?
Tum mare nazar ka aaina ho,
Kohi aur tumhain dekhey tu kyun?
Tum meray labon ka nagma ho,
Koi aur tumhain gaye tu kyun?
Tum mari dua ho,
Kohi aur tumain mangy tu kyun?………….

poetryLabon Pay Rukti, Dilon Main Sama Nahi Sakti
Wo Ak Baat Jo Lafzon Main Aa Nahi Sakti
Jo DIL Main Ho Nazar -e- Ghum Tu Ashq Paani Hay
Keh Aag Khaak Ko Kundan Bana Nahi Sakti
Yaqeen, Gumaan Say Bahar Tu Ho Nahi Sakta
Nazar Khayal Say Aagay Tu Jaa Nahi Sakti
Dilon Ki Ramz Faqat Ehal -e- Dil Jantay Hain
Teri Samajh Mai Meri Baat Aa Nahi Sakti
Yeh Souz -e- Ishq Tu Goongey Ka Khowab Hay Jesey
Meri Zubaan Meri Haalat Bata Nahi Sakti
Simat Rahi Hay Meray Baazo’on Kay Halqay Main
Haya Kay Boojh Say Palkein Utha Nahi Sakti
Jo Keh Raha Hay Sulagta Howa Badan Us Ka
Bata Bhi Paati Nahi, Or Chupa Nahi Sakti
Ak Aisay Hijar Ki Aatish Hai Meray Dil Main Jesey
Kesi Wisaal Ki Baarish Bujhaa Nahi Sakti
Tu Jo Bhi Hona Hai, Amjad Yahin Pay Hona Hai
Zameen Madaar Se Bahar Tu Jaa Nahi Sakti

poetrykya kahu tujhe main eh pyaar ki moorat
teri taref kissi lafz ki mohataaj nahi
kabhi ek jalti low ho pak-mohhabat ki
sirf sat rango mein simm’ta jiska jahan nahi
kabhi Shabnam samaan pavitar aagni ho
jiske samne kissi aag ka koi tej nahi
kabhi mammta ka anchal ban prem barsaye
chu paye tere parivar ko,aisi koi hawa nahi
chanchal,alharad nadi sa weg tumhara
haar kar rukna jiska kabhi sabhaw nahi
jis sung kadam mila lo,taqdeer badal jaye uski
jo na samjhe teri ehmiyaat,woh shayad insaan nahi

poetryChashm-e-Saqi ne ye kia khel recha rakha hai
Koi “ZAHID” koi Mey-khar bna rakha hai
Jo phansa phir na kabhi us ne rehai mangi
Teri Zulfoon ne ajab jaal bicha rakha hai
Hussn ho,Ishq ho dono ka asar yaksaan hai
Chez hay 1 magar Naam juda rakha hai
Sar se dhalti hain to shano pa bikhar jati hain
Tu ne ZULFFON ko bara sar pa charra rakha hai
Teri makhmoor Nigahon se hai Ronak sari
WaRNa “SAQI” tere My-Khaney mein kya rakha hai…..

poetryUs k labon pe raat kahani ghazb ki thi
Jazbat beh rhe the rawani ghazb ki thi,
RaJa bhi laJawab tha wadi_e Ishq ka
lekin deyar_e husan ki Rani ghazb ki thi,
kya kya na shaam aai meri hayat mein
guzri Jo tere sath suhaani ghazb ki thi,
dekhiin hain main ne shehr mein charti Jawaniaan
lekin Jo tuJh pe aai Jawani ghazb ki thi..!

poetryWo Boli,Besaro Pa Qahishen Bemar Rakhti Hain
Mai Bola,Aadmi Andoh Ke Batin Se Nikla Hai
Wo Boli,Dor Rahekar Dard Badh Jata Hai Sine Me
Mai Bola,Qurbaten Bhi Hijr Ke Qadshe Badhati Hai
Wo Boli,Shaam Hote Hi Udaasi Phayel Jati Hai
Mai Bola,Raat Bhi Tu Ansoon Se Ishq Karti Hai
Wo Boli,Dil Me Koi Bewajah Sa Qaof Rahe Ta Hai
Mai Bola,Ishq To Bebak Logon Hi Ka Shiwa Hai
Wo Boli,Ishq Ka Apna Alaheda Rang Hota Hai
Mai Bola,Rang Ka Aap Na Alaheda Ishq Hota Hai

poetryhAR yADO mE uSI kI yAD rEHTI hAI.
mERI aNKHO kO uSI kI tALASH rHTI hAI.
kUCH tUM b dUA kRO yARO.
sUNA hAI dOSTO kI
dUA mE fARISHTO kI fARIYAD hOTI hAI

poetryMeri Ankhoo’n Mai Tera Aks Khuda Khair Karay
Taptay Sehra Mai Koi Shaks Khuda Khair Karay
Teray Wajood Se Meri Rooh Moutter Tahiri
Dil Ka Her Taar Karay Raqs Khuda Khair Karay

poetryPhool bankar muskarana zindagi,
muskarake gum bhulana zindagi,
jeet kar koi khush ho to kya hua,
haar kar khushiya manana bhi zindagi
`
Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti,
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti,
Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan,
Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!

poetryAks-e-Khushbu hu bikha
e se na roke koi,
aur agar bikhar jau to mujhko na samete koi,
kaanp oothti hu mai ye soch k tanhai me,
ki mere chehre pe tera naam na padh le koi

poetryBas kar ujrein ge, kabhi socha naa tha
Inn lamhaat se guzrein ge, kabhi socha naa tha
Kitna pyar tha humein apne aap se
Zindagi ban jayegi Azaab, kabhi socha na tha
Unhein to fikr bhi naa thi humari
Humein fikr ho jayegi unki, kabhi socha naa tha
Apno ne haath uthaya sar se, phir darbadar huye ghar se
Itne bhi mushkil lamhaat aaein ge, kabhi socha naa tha

poetryMere dil mein basi hararat ho tum,
Meri aankhon ko mili shararat ho tum,
Dekhun tumhein to paalun mein duniya,
Na milo to milne ki baghavat ho tum,
Tumhari khamoshi keh jaati hai kai baatein,
Jise yaad karta hai dil kai raatein,
Tumhare nanhe nanhe se haath aur badi badi baatein,
Yaad reh jaati hein tumse hui sab mulakatein,
Ummeed ho hamari aanewala kal ho tum,
Hamare dilon mein basi mohabbat ho tum
Romantic Urdu Poetry 01 Romantic Urdu Poetry 01 Reviewed by Unknown on 10:51 Rating: 5

No comments:

Salam Pakistan @2015. Powered by Blogger.